*Zarurat torr deti hey guroor-o-bay-niyazi ko
No hoti koi majboori to har banda Khuda hota…
*Khuda ko bhool gaye log fikr-e-rozi mein
Talash rizq ki hey aur Raziq ka khayal nahi
*Pehle kacchi thi masjidein lekin pakke the musalmaan; ab pakki hai masjidein aur kacche hai musalman..
*Mein faqeeron se bhi kerta hoon tijarat aksar
Jo ek paisay mein laakhon ki dua detay hain
*Na sharm na haya na muhabbat diloan mein hai..
Insaniyat sharminda hai is dour ka insaan ko dekh ker..
*Baat sajdon ki nahi khuloos-e-niyat ki hoti hey Iqbal
Aksar log khali hath lout aatay hain har namaz kay baad
*Jin kay aangan mein ameeri ka shajar lagta hey
Un ka har aib zamanay ko hunar lagta hey
*Sajda Khaliq ko bhi iblees se yaarana bhi
Hashr mein kis se aqeedat ka sila maangay ga..
*Hansi aati hey mujhay hazrat-e-insaan per
Amal karay khud aur lanat bhejta hey shaytan per
*Teray sajday kaheen tujhay kafir na ker dein Aey Insaan
Tu jhukta kaheen aur hey aur sochta kaheen aur
*Dil pak nahi tou pak ho sakta nahi insaan
Warna iblees ko bhi aatay thay wuzu kay faraiz bohat
*Kaabah-o-Quraan ko jo dekha hey ghilaf mein liptay
Ab mein samjha hoon kay perday ki fazeelat kiya hey
*Teray aamaal se hey tera pareshan hona
Warna mushkil nahi mushkil aasaan hona
Dona aalam per hukumat ho teri aey musalman
Tu samajh jaye agar apna musalman hona
*Mirza Galib: peene de masjid mein baithkar ya woh jagah bata jahan khuda nahi..
Allama Iqbal: Masjid Khuda ka ghar hey peenay ki jagah nahi
Kafir kay dil mein ja wahan per Khuda nahi
Ahmed Faraz said:
Kafir kay dil se aaya hoon mein ye dekh ker
Khuda mojood hey wahan magar usay pata nahi
* Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahanum Bhi
Ye Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai
*Kursi hai koi janaza toh nahi, kuch kar nahi sakte , toh utar kyon nahi jaate
*Raaton ko chalti rehti hai mobile par ungliyaan, seene par kitab rakh ke soye kaafi waqt hua
*Aaj maine fir jazbaat bheje, tumne fir alfaaz hi samjhe
*Ek itwaar hi hai jo rishto ko sambhaalta hai, baaki din khisto ko sambhaalne me kharch ho jaate hai
*Abhi abhi kuch guzra hai, laaparvah , dhool mein daud ta hua, zara palat kar dekhu toh, bachpan tha shayad,
*Sochta hoon dokhe se zahar de doon, sabhi khwaishon ko dawat par bula kar
*Na jaane kab kharch ho gaya pata hi nahi chala,woh lamhe , jo chupa kar rakhe the jeene keliye
*Insaan khud ki nazar mein sahi hona chahiye , Dunya toh bhagwaan se bhi dukhi hai…
*कहीं हम सच में खराब होते तो सोचो कितने फसाद होते ||
Beautiful ashaar by”: ALLAMA IQBAL” : =>
Very meaningful;
Sajda-e-Ishq Ho To “Ibadat” Mein “Maza”
Aata HAI;….
Khaali “Sajdon” Mein To Dunya Hi Basa Karti HAI;…..
Log Kehte Hain. Ke
Bas “Farz” Ada Karna HAI…..
Aisa lagta Hai. Koi “Qarz” Liya Ho “Rab” Se…..
Tere “Sajday”
Kahin Tujay “Kaafir” Na Kar Dain
Tu Jhukta Kahin Aur Hai. Aur “Sochta”
Kahin Aur HAI…..
Koi jannat ka taalib
hai. Toh koi gam se. pareshan HAI… ”
‘ZARURAT’ sajda karwaati HAI….
“ibaadat” kaun karta HAI….
Kya huwa tere maathe par hain to “sajdon”. ke nishan,
Koi Aisa Sajda bhi kar. jo Chhod jaye zameen par nishaan…
Phir aaj. haq ke liye jaan fidaa karey koi,
“Wafa”. bhi jhoom uthe yun wafa kare. koi…
Namaz 1400 saalon se intezar mein HAI… Ki. Mujhe “SAHABIYON”. ki tarah adaa kare koi….
Ek “khuda” hi hai. jo sajdon mai maan jaata HAI.
warna ye insaan toh. jaan lekar bhi raazi NAHI HOTE…….
De di azaan masjidon mein “Hayya alas salah”
Aur likh diya bahar board par,
Andar na aaye falan aur falan…..
Khauf hota hai shaitan ko bhi Aaj ke mussalman ko dhek kar,
Namaaz bhi padhta hai to masjid ka naam dekh kar…
Mussalmano ke har firke ne Ek dusre ko kafir kaha. …
Ek kafir hi hain jo usne hum sabhko mussalman kaha…..
Bewqoof aurat Apne husband ko apna Ghulam banati hai
aur khud Ghulam ki Biwi ban jati hai..
Jab ki aqalmand aurat
apne husband ko Badshah banati hai
aur khud Badshah ki Mallika banjati hai..
~
__________________________________
Zindagi ke har mod par sulaah karna seekho.
Kyun ke jhukta wohi hai jis me jaan hoti hai.
Akadna to murday ki pehchaan hoti hai…
__________________________________
Dua mangte raho
kyun ke
mumkin aur na mumkin to sirf hamari soch me hai,
ALLAH ke liye to kuch bhi na mumkin nahi…
__________________________________
Apni ghaltiyon se taqdeer ko badnaam mat karo
kyun ki
taqdeer to khud himmat ki mohtaaj hoti hai…
__________________________________
Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak say darwaza khul hi jata hai…
_______________________________
Jo tumhe khushi mein yaad aaye,
samjho tum us se mohabbat karte ho
aur
jo tumhe gham me yaad aaye
to samjho
woh tum se mohabbat karta hai…
__________________________________
Rishton ki khoobsurti
ek dosre ki baat ko bardasht karna hai..
be aib insaan talash mat karo warna akele reh jaoge…
.
__________________________________
Agar tum use na pa sako jise tum chahte ho,
to usay zaroor pa lena
jo tumhe chahta hai
kyun ki chahne se
chaahe jane ka ehsas zyada khoobsurat hota hai…
________________________________________
Agar qismat ka likha sab kuch hota to
ALLAH insaan ko dua maangna kabhi na sikhata….
———————–
Zameen aqalmando se bhari hai lekin dardmando se khali hai…
= महँगी से महँगी घड़ी पहन कर देख ली,
वक़्त फिर भी मेरे हिसाब से कभी ना चला …!!”
============================
युं ही हम दिल को साफ़ रखा करते थे ..
पता नही था की, ‘किमत चेहरों की होती है!!’ =============
बिना लिबास आए थे इस जहां में,
बस एक कफ़न की खातिर,
इतना सफ़र करना पड़ा….!!!!
============================
समय के एक तमाचे की देर है प्यारे,
मेरी फ़क़ीरी भी क्या,
तेरी बादशाही भी क्या….!!!!
============================
जैसा भी हूं अच्छा या बुरा अपने लिये हूं,
मै खुद को नही देखता औरो की नजर से….!!!!
============================
मुलाकात जरुरी हैं, अगर रिश्ते निभाने हो,
वरना लगा कर भूल जाने से पौधे भी सुख जाते हैं….!!!!
============================
नींद आए या ना आए, चिराग बुझा दिया करो,
यूँ रात भर किसी का जलना, हमसे देखा नहीं जाता….!!!!
============================
मोबाइल चलाना जिसे सिखा रहा हूँ मैं,
पहला शब्द लिखना उसने मुझे सिखाया था….!!!!!
============================
“इसी लिए तो बच्चों पे नूर सा बरसता है,
शरारतें करते हैं, साजिशें तो नहीं करते….!!!!
============================
“दो बातें इंसान को अपनों से दूर कर देती हैं,
एक उसका ‘अहम’ और दूसरा उसका ‘वहम’……
============================
पैसे से सुख कभी खरीदा नहीं जाता
और दुःख का कोई खरीदार नहीं होता।”
============================
मुझे जिंदगी का इतना तजुर्बा तो नहीं,
पर सुना है सादगी में लोग जीने नहीं देते
============================
* मुसीबत में शरीफों की शराफत कभी कम नहीं होती
सोने के कितने भी टुकड़े करदो , उसकी कीमत कभी कम नहीं होती